Yeh hai 7 Rahasya Jo prakriti se Jude hue hain jine Jaan liya to duniya ke sabse powerful vyakti ban jaaoge
꧁ Digital Diary ༒Largest Writing Community༒꧂
꧁ Digital Diary ༒Largest Writing Community༒꧂
Hindu dharm mein vaise to koi rahsyon ka varnan Kiya gaya hai aur UN rashiyon ko kis tarah se Jana ja sakta hai is bare mein bhi vistar se bataya gaya hai. Lekin ham yahan Bata rahe hain aapko Matr 7 aise Rahasya jinhen Jaan liya to fir kuchh bhi janne Ko nahin bachega. Jahan ek sawal powerful vyakti banne ka hai to is Rahasya ko samajhna aur Janna badi baat hai lekin padhna chhoti baat hai.
1. Janan Rahasya - jalan arthat janm ka Rahasya hai. Ek atma kaise sharir Dharan karti hai, kaise Janam sthan chunti hai, kab garbha mein Pravesh karti hai, janm ka samay kaise Tay hota hai, sharir ka prakar Mata-pita, yah sabhi ek rahsya hai. Paise ke bare mein upnishdo me vistar se ullekh milta hai.
2 . Maran Rahasya - Maran arthat mrutyu ka Rahasya. Yah Rahasya bahut hi Gupt hai. Koi kab, kaise aur kahan marega yah bhi time aana jata hai. Sabse badi baat yah hai ki sharir se Pran ka bichhadna aur uske bad ki yatra ka rahasya kya hai ? Uttar sabhi ki charcha upnishadon mein kahin koi hai.
3 . Raj Rahasya - Srishti ki vyavastha aur sanchalan ke niyam ke Rahasya ko hi Raj Rahasya kahate Hain. Yah niyam kya hai aur kaise Srishti sanchalit hoti hai.
4 . Prakriti Rahasya - prakriti ek Rahasya hai. Vaigyanik iske upri aavran ka varnan karte Hain aur ve jitna adhik prakriti ke bare mein jan paate Hain, utna hi adhik Rahasya aur gehra hota jata hai. Hindu dharm mein prakriti ko Shakti kaha gaya hai. Prakriti kya hai iska varnan upnishadon mein bahut hi satik dhang se milta hai.
5 . Atma Rahasya - atma kaise dikhti hai, kis rang ki hai kab se hai aur arabon varshon ke safar ke bad vah kaisi hai? Yadi aap khud ko ek sharir nahin atma mante Hain to kya aapane khud Ko kabhi dekha hai? Kahate Hain ki moksh ko prapt karna hi khud ke Swaroop ko dekhna, samajhna aur Anubhav karna hota hai. Uprokt sabhi baten moksh karne ke bad hi jaani ja sakti hai.
6 . Parmatma Rahasya - Ishwar, Parmatma ya parmeshwar hai ya nahin? Hai to kaise hain aur kahan rahte hai? Nahin hai to yah brahmand kaise sanchalit ho raha hai? Ishwar purush hai, stri hai ya kuchh aur? Kya Ishwar sabhi ka nyaay karta hai? Aise Kai prashn hai jinka Rahasya barkrar hai aur jinke bare mein upnishdo main vistar se ullekh milta hai.
7 . Mantra Rahasya -kuchh vidwan mante Hain ki Vishesh prakar ki prabhavshali dhvni ko Mantra kahate Hain. Mantra se man Ko ek tantra mein lakar use moksh ki or Moda jata hai. Mantra aur unke prabhav, karya pranali yah sabhi Rahasya hai. Mantra, Chetna se persphootit ek dravya Tarang hai aur Chetna swamp ek Rahasya hai.
Thank you
We are accepting Guest Posting on our website for all categories.
Suveta Notiyal
@DigitalDiaryWefru