Purani Yaadein Aur Wo Bachpan Ke Din: Ek Khoobsurat Safar
꧁ Digital Diary ༒ Wefru – India's Largest Writing Community ༒ Read, Write & Grow ༒꧂
꧁ Digital Diary ༒ Wefru – India's Largest Writing Community ༒ Read, Write & Grow ༒꧂
Aaj jab hum rozana ke kaam-kaaj, padhai aur zimmedariyon mein busy ho jaate hain, toh kabhi-kabhi akele mein baith kar purani yaadein bohot yaad aati hain. Wo din bhi kitne bemisaal the jab zindagani mein tension kam aur khushiyan zyada hoti thi!
Wo shaam ke 5 bajte hi ghar se bahar nikalna, doston ke saath bina kisi fikr ke khelna aur jab tak mummy ghar se aawaz na lagayein tab tak khelte rehna... Un dinon ki baat hi kuch alag thi.
Baarish ke paani mein kagaz ki naav chalana, paani mein chhap-chhap karna aur baarish ke rukne par doston ke saath kagaz ki naav ki race lagana-wo chhoti si cheez bhi kitni badi khushi deti thi.
Kabhi purani kitabein ya koi almari kholne par wo purani photos, dost ki likhi hui greeting card, ya kitabon ke beech rakha wo dried phool mil jaana... Wo ek second mein humein saalon peeche le jaata hai aur chehre par ek pyari si muskaan chhor jaata hai.
Bachpan mein humein khush hone ke liye kisi wajah ki zaroorat nahi hoti thi. Hum har chhoti baat par has padte the aur dil mein koi baat nahi rakhte the.
Waqt aage badh jaata hai, hum bade ho jaate hain, lekin wo pyari yaadein humare dil ke ek kone mein humesha zinda rehti hain. Jab bhi thak jaao, bas ek pal ke liye unkhoobsurat yaadon ko yaad kar liya karo-poore din ki thakan minto mein door ho jayegi!
Kash koi waqt ka pahiya peeche ghumaye, aur humein fir se wo befikr bachpan lautaye."
Verified Brand
Have a question about this post? Send it straight to the author — only they will see it.
We are accepting Guest Posting on our website for all categories.
Kakul Digital Content Writer
Verified Author Expert@DigitalDiaryWefru