Jammu Kashmir
꧁ Digital Diary ༒ Wefru – India's Largest Writing Community ༒ Read, Write & Grow ༒꧂
Jammu & Kashmir mere sapno ki jagahon mein se ek hai. Main hamesha se wahan ki khoobsurat wadiyon, baraf se dhake pahadon aur shaant mahaul ko dekhna chahti hoon. Jab bhi main Kashmir ki tasveerein dekhti hoon, mujhe lagta hai jaise main kisi jannat ko dekh rahi hoon.
Kashmir ki sabse khaas baat uski prakritik sundarta hai. Dal Lake mein chalti hui shikara, Gulmarg ki baraf, Pahalgam ki hari-bhari wadiyan aur Srinagar ki roshniyon se jagmagati raat bahut hi sundar lagti hai. Main sochti hoon ki agar mujhe kabhi Kashmir jaane ka mauka mile, to main apne doston ke saath wahan bahut saari selfies loongi aur khoobsurat yaadein banaungi|
Mujhe raat ki roshniyan aur thandi hawa bahut pasand hain. Isliye Srinagar ki shaam aur Dal Lake ka nazara mere liye kisi sapne se kam nahi hoga. Wahan ki shaanti aur sundarta dil ko sukoon deti hai.
Mere liye Jammu & Kashmir sirf ek tourist place nahi, balki ek aisi jagah hai jahan main apne sapno ko jeena chahti hoon. Mujhe ummeed hai ki ek din main zaroor Kashmir jaungi aur uski khoobsurati ko apni aankhon se dekhungi.|
Mera blog padhne ke liye dhanyavaad। Mujhe ummeed hai ki aapko Jammu & Kashmir ke baare mein mere vichar pasand aaye honge। ?
Profile Complete
Slow Living in Fast-Paced World: Bhagti Hui Duniya Mein Thoda Rukne Ki Zaroorat Kyun Hai?
1 comment · 136 views
Join the conversation →
Zindagi Mein Positive Soch Aur Inspiration Kaise Layein?
2 comments · 120 views
Join the conversation →
Sukuun ki Talash: Bhagti-Daudti Duniya Mein Bachpan ki Woh Dheemi Raatain
0 comments · 80 views
Read and comment first →
स्लो लिविंग (Slow Living) इस तेज़ डिजिटल दुनिया में: दैनिक जीवन में थोड़ा सुकून कैसे लाएं?
0 comments · 78 views
Read and comment first →
Chhoti-Chhoti Khushiyan: Zindagi Ko Jeene Ka Asli Tarika
0 comments · 74 views
Read and comment first →
Have a question about this post? Send it straight to the author — only they will see it.
1 comment from 1 person
We are accepting Guest Posting on our website for all categories.
Kakul Digital Content Writer
✓ Profile Complete@DigitalDiaryWefru