Swasthya ka arth kya hai aur iski paribhasha kya hai

꧁ Digital Diary ༒Largest Writing Community༒꧂


Meri Kalam Se Digital Diary Create a free account




Swasthya ka Arth 

​​​​Adhikansh vyakti swasthya ke bare mein abhigy hai. Swasthya sambandhi anbhigyta  ke Karan hi vartman kal mein Vishva ke adhikansh log vibhinn sankramak rogon ki chapet mein a jaate Hain .issi Karan logon ke swasthya ke sthar mein giravat ho rahi hai.

Vastav mein kisi desh ka utthan tatha Kalyan use Desh mein Rahane wale logon ke swasthya per nirbhar Karta Hai. yadi kisi Desh ke log swasth Hain to yah nishchit Hai ki vah Desh jivan ke vibhinn kshetron mein Pragati ke Shikhar per pahunch sakta hai .yah hamare Desh ke liye durbhagya ki baat hai ki humne abhi tak swasthya ke mahatva Ko nahin samjha hai swasthya Shabd angreji ke shabd "health" ka Hindi rupantaran ha,Jiska Arth Hai swasth avam utsahi. Kaha jata hai ki swachh sharir mein Hi swasth mastishk nivas karta hai.

Adhyay swastika vastvik Arth Hai sharir ke sabhi angon tatha tatvon ka persper santulan samnvayiye tatha unka uchit kriyanvayan ek swasth vyakti pray Rog mukt rahata Hai uska Tan Man swasth hota hai tatha uski sharirik avam mansik kshamtaen uchch star ki hoti hai.

Iske liye kuchh paribhashaen  hai --

1. "Swasthya hi Pratham punji hai." 

2." Swasth sharir mein Hi swasth man vas karta hai. "

3." Swasthya  jivan ka vah gun hai jisse vyakti dirghayu hokar Uttam sevaen pradan karta hai."

4." Sharirik ,mansik tatha samajik Drishti se purnatya sukhi hona Hi swasthya Hai ,Keval Rog ya vikriti se mukt rahana hi swasthya nahin Hai."

5." Swasthya ka Arth, sharir man athva atma ke swachh tatha per sanchit Rahane Vishesh Roop se sharirik Rog ya Dard Se Swatantra Rahane ki dasha hai."




Leave a comment

We are accepting Guest Posting on our website for all categories.


Comments

Sanjay pal [sourabhpal9897@gmail com] Date:- 2025-01-05 15:56:34
Thanks ye information ke liye

Vinod pal [vpal47774@gmail com] Date:- 2025-01-04 19:14:44
Very nice