Agar ped Nahin ho to kya hoga?

꧁ Digital Diary ༒ Wefru – India's Largest Writing Community ༒ Read, Write & Grow ༒꧂


Agar ped Nahin ho to kya hoga?

2 min read · 2 views

Kabhi Socha Hai Subah utho aur Bahar Ek bhi ped Na Ho Na Hariyali na Chidiya ki awaaz na Thandi Hawa dar lagta hai na. 

Saans Lena Mushkil ho jaega ped Hamen oxygen Dete Hain aur Hamari chhodi Hui carbon dioxide Ko Le lete hain Agar ped Na Hote To Hawa Mein jahrili gas badh jaati Sans Lene Mein taklif hoti log bimar padane lagte Ek Bada ped 1 Sal Mein Itni oxygen deta hai, jitni Char Logon Ko jivit Rahane ke liye chahie hoti hai Barish Aana Band Ho Jaega ped badalon ko Apni Taraf khinchte Hain Jahan Jyada ped hote hain vahan Jyada Barish hoti hai agar ped Na Hote To Barish kam Ho Jaati Khet sukun De lagte Kisan ko Anaaj Nahin Milta Garmi Itni badh Jayegi ki Rahana Mushkil ho jaega Agar ped Nahin Honge janwar aur pakshi kahan Jaenge Agar ped Nahin Hue to janwar aur pakshi bhi Marne lagenge Pani Ki Kami ho jayegi Kyunki Jab ped hi nahin Rahenge to pani bhi sukhne lagega sari Mitti Bah Jayegi Bina pedon ke. 

Last point

Ped Nahin to Jivan Nahin ped sirf Lakadi Nahin Hai vah Hamari Sans Hai Hamari Chhaya Hai Hamara future hai aaj Ek ped lagao cal Duniya Ko Bachao Tumne Aakhri bar kab ped Lagaya Tha comment Mein Jarur batana. 

Thankyou. 

Up next Agar ped bol sakta to kya Kahta? Radhika Dhiman · 155 views

FAQ

+

Radhika Dhiman

Radhika Dhiman

Contact Verified

Radhika

 




Ask the author

Have a question about this post? Send it straight to the author — only they will see it.

Sign in to ask the author a question.

Leave a comment

We are accepting Guest Posting on our website for all categories.

to comment.
Abhi koi comment nahi. Pehla comment aap karo.




<