Ghar mein kaun se paudhe Lagane chahie Jo Hawa ko saaf Karen?

꧁ Digital Diary ༒ Wefru – India's Largest Writing Community ༒ Read, Write & Grow ༒꧂


Ghar mein kaun se paudhe Lagane chahie Jo Hawa ko saaf Karen?

2 min read · 14 views

Aajkal Ham Apne Ghar Ko sajane ke liye bahut Kuchh late Hain mahanga furniture Sundar Parde acchi Khushbu wale spray per Ham yah Bhul Jaate Hain Ki Sabse Jaruri chij Hamare ghar ki Hawa Hai Bahar ka Pradushan To Hamen dikh Jata Hai per ghar ke andar ki gandi Hawa chup chap Hamare sehat kharab Karti rahti hai isase Sar Dard khansi allergy aur Nind na Aane Jaisi problem hoti hai

Iska sabse Aasan aur Sasta Ilaaj hai ghar mein paudhe Lagana Kuchh paudhe Aise Hote Hain Jo Hawa se jahrile gas ko khinch lete hain aur Hamen saaf oxygen Dete Hain aaiae Jante Hain unke bare mein . 

  • Tulsi

Tulsi ko sabse Pavitra paudha Mana Jata Hai yah Din Raat Hawa ko saaf Karti Hai Iski Khushbu se machhar bhi Dur rahte hain ise Roj Thodi dhup chahie aur Halka Pani ise Ghar Ke Angan ya balkani Mein rakho. 

Aloe vera

Yah paudha raat mein bhi oxygen deta hai isliye ise bedroom Mein Rakhna sabse Achcha hota hai yah Hawa se formaldehyde Jaisi gandi gais ko saaf Karta Hai ise bahut kam Pani chahie Hafte Mein Ek Se Do Bar hi Kafi hai. 

Snake plant

Ise log SAS ki jibh bhi Kahate Hain yah 24 ghante oxygen deta hai aur Bina dekhbhal Ke Bhi Sal Bhar Jinda rahata Hai Agar Tumhen paudhon ki dekhbhal karna Nahin Aata to yah paudha Tumhare Liye Hi Hai. 

Money plant

Yah ghar mein sabse Aasan lagne wala paudha hai yah Hawa Se benzeen Jaise jahrile gas ko khinch leta hai yah Pani Mein Bhi lag jata hai aur Mitti mein bhi ise drawing room ya kitchen Mein Laga sakte ho. 

Spider plant

Yah paudha Chhota hota hai per kam bahut bada Karta Hai yah carbon monoxide Jaise Khatarnak gas ko saaf Karta Hai ise latkane wale gamle me , lagao bahut Sundar lagta hai. 

Last important point

Paudhe Lagana sirf shok Nahin Hai yah Apne Parivar ki sehat Ka Khyal Rakhna hai agar tum apne ghar mein inmein se teen se Char paudhe bhi Laga loge to tumhare ghar ki Hawa pahle se bahut saaf ho jayegi tumhare ghar mein inmein se kaun sa paudha hai comment Mein Jarur batana 

Thankyou

 

Up next Ped Lagane ke fayde Ek ped Kitni oxygen deta hai Radhika Dhiman · 76 views

FAQ

+

Radhika Dhiman

Radhika Dhiman

Contact Verified

Radhika

 




Ask the author

Have a question about this post? Send it straight to the author — only they will see it.

Sign in to ask the author a question.

Leave a comment

1 comment from 1 person

We are accepting Guest Posting on our website for all categories.

to comment.
Radhika Dhiman Radhika Dhiman 2026-11-11 20:58:50
Nice content




<