Prakriti 5 aawajen Jo sirf Gaon Mein Sunai Deti Hai

꧁ Digital Diary ༒ Wefru – India's Largest Writing Community ༒ Read, Write & Grow ༒꧂



2 min read · 10 views

Shahar Mein Log Kahate Hain Gaon Mein Kuchh Nahin Hai per Sach to yah Hai Gaon Mein vah Sab Hai Jo Shahar Mein paison Se Bhi Nahin Milta vah Hai Prakriti ki aawajen Shahar Mein Sirf gadi aur machine ki awaaz Aati Hai Gaon Mein Prakriti Roj humse baat karti hai bus Hamen sunna Aana chahie. 

Subah Ki Pahli Awaaz Chidiya

Gaon Mein alarm Nahin Bajata Chidiya bajati hai subah 5:00 Baje pura Gaon so raha hota hai tab Chidiya sabse pahle uthati hai vah isliye bolati Hai Taki Sabko Pata Chale Ab subah ho gai hai uth jao Shahar Mein yah Awaaz Kabhi Nahin Sunai Deti. 

Dopahar ki awaaz ped ke patte

Dopahar Mein Jab Hawa Chalti Hai To ped ke Patte Aise bajate hain jaise Koi धीरे-धीरे gana Ga Raha Ho बड़े-बड़े ped Ke Niche baitho Aankh band karo To Aisa Lagta Hai Jaise Prakriti Ne AC Chala Diya ho yah thandak Shahar ke AC mein bhi nahin milati. 

Shyam Ki Awaaz Ghar Wapas Aate janwar

Sham ko Jab gay Khet Se Wapas Aati Hai unke gale ki ghanti bajati hai aur Dur Se bacchon Ke khelne ki awaaz Aati Hai yah Awaaz batati hai ki din khatm ho gaya hai ab Sab apne ghar ja rahe hain. 

Barish se pahle Ki Awaz

Gaon Mein Barish Aane Se Pahle hi pata chal Jata Hai mendhak जोर-जोर se bolane Lagta Hai Hawa Mein Mitti ki Khushbu Aane lagti hai aur Aasman Mein Jab bijali chamkati Hai To Pura Gaon ek second ke liye Ujala ho jata hai Shahar Walon Ko to yah pata hi nahin chalta Ki Barish Kab Aaegi unko to mobile dekhna padta hai. 

Raat Ki Awaz jhingur aur sannata

Raat ko Gaon Mein sabse sundar Awaaz aati hai jhingur ki awaaz pura Gaon Shant ho jata hai sirf jhingur bolate hain aur Upar aasman Mein Tare dikhte Hain Shahar Mein Raat Ko Bhi Shor hota hai per gaon ki raat mein Itni Shanti Hoti Hai Ki Dil Ko sukun Mil Jata Hai. 

Ant mein main sirf Yahi Kahana chahungi Prakriti sirf dekhne ki chij nahin hai sunane ki chij bhi hai jo log Gaon Mein Rahte Hain vah bahut Kismat Wale Hain Kyunki unke pass Prakriti ki yah 5 aawaje Roj free mein milati hai Tumne inmein se kaun si Awaaz Suni Hai comment Mein batana. 

Thankyou????

Up next Prakriti ki sundarta aur manushya ke liye uska mahatva Radhika Dhiman · 87 views

FAQ

+

Radhika Dhiman

Radhika Dhiman

Contact Verified

Radhika

 




Ask the author

Have a question about this post? Send it straight to the author — only they will see it.

Sign in to ask the author a question.

Leave a comment

We are accepting Guest Posting on our website for all categories.

to comment.
Abhi koi comment nahi. Pehla comment aap karo.




<