Ped Lagane ke fayde Ek ped Kitni oxygen deta hai
꧁ Digital Diary ༒ Wefru – India's Largest Writing Community ༒ Read, Write & Grow ༒꧂
꧁ Digital Diary ༒ Wefru – India's Largest Writing Community ༒ Read, Write & Grow ༒꧂
Jab Bhi Ham ped ki baat karte hain sabse pahla Sawal Yahi Aata Hai Ek ped Kitni oxygen deta ?
to suno Ek Bada aur Hara Bhara ped Ek Sal Mein lagbhag 100 se 120 kilo oxygen deta hai
Matlab Ek ped ki oxygen se do logon ka pure Sal Ka Sans chal sakta hai Socho Jo oxygen cylinder aspataal Mein hajaron rupaye ka Milta Hai vah ped Hamen bilkul free mein deta hai
Din Mein dhup Se khana banata hai ise Vigyan Mein Prakash sanshleshan Kahate Hain ismein vah Hamari chhodi Hui gandi Hawa yani carbon dioxide leta hai aur Badle Mein Hamen Shuddh oxygen Deta Hai Ek Neem Ka ped Ek Pipal ka ped Ek bargad ka ped yah to Din Raat oxygen Dene Wale ped Mane Jaate Hain Pipal to raat mein bhi Thodi oxygen deta hai isliye Dadi Nani Pipal ko Devta Manati thi
Jahan ped Jyada hote hain vahan Garmi 4 se 5 degree kam hoti hai ek Bada ped Ek Din Mein 400 litre Pani Hawa Mein chhodata Hai jisse aaspaas ki Hawa Thandi Ho Jaati Hai matlab Ek ped 10 AC ke barabar thandak vah bhi Bina bijali ke Bil ke deta hai isliye Gaon Mein Neem Ke Niche baithane per jo thandak milati hai vah Shahar ke AC mein bhi nahin milati
Jab Tej Barish Aati Hai To ped ki Jade Mitti ko pakadkar rakhti hai agar ped n ho to Sari upjau Mitti Bah jaati hai aur Khet Banjar Ho Jaate Hain Ek ped per 100 Se Jyada Chidiya gilhari Titli aur madhumakkhi rahti hai ped kaatne ka matlab Unka Ghar Ujad Dena Hota Hai isliye Hamen kabhi bhi ped Nahin kaatna chahie ped lagana Puja Se Kam Nahin Hai Kyunki ped Lagana matlab Kisi Ki Jindagi Bachana
Morning nature benefit dimag Tej kaise karen
0 comments · 52 views
Read and comment first →
Agar ped bol sakta to kya Kahta?
0 comments · 43 views
Read and comment first →
💬 ₹50 बचाकर कोई कैसे खड़ा कर सकता है पैसों का पहाड़? ये सीक्रेट खुला तो होश उड़ जाएंगे
1 comment · 213 views
Join the conversation →
💬 New opportunities Galore in Cybersecurity
0 comments · 207 views
Read and comment first →
Have a question about this post? Send it straight to the author — only they will see it.
We are accepting Guest Posting on our website for all categories.
Radhika Dhiman
✓ Contact Verified@DigitalDiaryWefru