Aap panchtatv ke bare mein kya jante Hain

꧁ Digital Diary ༒Largest Writing Community༒꧂


Meri Kalam Se Digital Diary Create a free account




Panchtatv yani panch tatv aaiae inke bare mein jante Hain. 

1. Pani

Ab to is baat ke kafi Matra mein vaigyanik saboot uplabdh hai ki Pani mein jabardast yaddahshat hoti hai. Agar aap Pani bhi dekhte hue koi vichar banae to Pani ki aanvik sanrachna Badal jaati hai Pani ko chhune se bhi yah Badal jaati hai. To yah bahut mahatvpurn hai ki aap Pani se kis tarah sampark banate hain. 

 

2. Mitti

Mitti vo tatv hai jo baki ke sabhi tatvon ke viksit hone ka Aadhar hai aur yah hamare baudhikta ka bhi Aadhar hai. Hamare aaspaas ke sabhi bhautik padarthon mein mitti ka hissa to hai hi. Mitti ka Apne jivan ke Aadhar per hi Bodh karna aur use samajhna sabse acchi baat hai kyunki jyadatar log sirf Apne sharir aur man ka hi Anubhav kar paate Hain. Apni bhautik se, Mithi Raat Ko janna aur Anubhav mein Lena yog prakriya ka bhag hai.

 

3. vayu 

Yogik parampara mein ham hawa ko vayu kahate Hain jiska matlab hai ki yah sirf nitrogen, oxygen, carbon dioxide or dusri gason ka mishran hi nahin hai balki yah sancharan (ek se dusri jagah jaane ki ya gati) ka ek aayam hai. Panch tatvon mein vayu ki hamari bahut me sabse jyada hai. Dusri tatvo ke muqabla, is tatv per aasani se maharat bhai ja sakti hai. Isiliye vayu ko Aadhar banakar hi bahut sari yogik prakriyaen banai gai hai.

 

4. Agni

Bhartiya Sanskriti mein Aag tatv ko Agni dev ke roop mein dikhaya jata hai, Jo do munh wale Devta hai aur har taraf failne wali, Agra roop dharan karne wali sawari per ghumte Hain yah do mukh pratikatmak hai- ve Agni ke jivan Dene Wale aur jivan Lene Wale donon hi rupon Ko darshate Hain. Jab tak hamare andar Agni na jal rahe Ho, tab tak koi jivan nahin hai, per agar ham uske bare mein satk Na rahe, tugni bahut jaldi bekabu hokar har chij ko khatm kar sakti hai. 

 

5. Aakash

Aakash ko bus Khali sthan samajh Lena Sahi nahin hai. Aakash eather hai. Vaise eather kahana bhi sath pratishat Sahi nahin hai, per yah sabse nazdiki Arth hai.eather koi Khali sthan nahin hota, yah astitva ka ek samuh aayam hai. Khali sthaniya rikt yani Kal ya astitvahinta, jise Shiv kahate Hain. Shiv yani "vah Jo nahin hai" . Lekin Aakash yani "vah jo hai" .




Leave a comment

We are accepting Guest Posting on our website for all categories.


Comments