Suryakant Tripathi 'Nirala'
꧁ Digital Diary ༒Largest Writing Community༒꧂
Mahakavi Nirala ka janm San 1897 isvi mein Bangal ke Medinipur jile ki mahisagar riyasat mein pandit Ram Sahay Tripathi ke yahan hua tha/ vastav mein inke pita Uttar Pradesh ke Unnao jile ke gadhkola Namak gram ke nivasi the, kintu jivika ke liye Bangal a gaye the/
Inki prarambhik Shiksha mahisadal ke hi vidyalay mein Hui/ inhone swadhyay se hi Hindi, angreji, Sanskrit tatha bangla ka gyan prapt Kiya/ Bachpan se hi inki kushti ghudsavari aur khelon mein atyadhik Ruchi thi balak Suryakant ke sir se Mata -pita ka saya Alpaayu mein hi uth gaya tha/
Nirala Ji ko Bangla aur Hindi-sahitya kaksha Gyan tha/ inhone Sanskrit aur angreji ka bhi paryapt adhyayan kiya/ Bhartiya Darshan mein inki Vishesh Ruchi thi/
Nirala ji ka parivarik jivan atyant asafal aur kasht mein Raha/ ek Putra aur ek putri ko janm dekar inki patni manohara Swarg sidhar ho gai/ Manohar Sangeet AVN Hindi Premi mahila thi iska Nirala pratidin prabhav pada kintu durbhagya se San 1918 isvi mein Manohar ki akaal mrutyu Ho gai/ patni ke virha ke samay hi Inka Parichay pandit mahaveer Prasad Dwivedi se hua/
Pandit mahaveer Prasad Dwivedi ke Sahyog se inhone 'samnvay' aur 'matwala' ka sampadan Kiya/ inki Kavita 'Juhi ki Kali' ne tatkalin Kavya Kshetra mein Kranti utpann Kar di/
Nirala Ji ko Apne akad vyavhar ke Karan jivan mein atyadhik arthik kathinaiyon ka samna karna pada tha arthik do chintaon ke bich hi iski Yuva putri Saroj ka nidhan ho gaya jisse vah vyast hokar inhone 'Saroj ismriti' Namak Kavita likhi ismein inhone Apne dukh purn jivan ki abhivyakti karte hue likha hai/
Dukh hi jivan ki Katha Rahi,
Kya kahe Aaj Jo nahi Kahi,
Kan, gat karmon ka Arpan,
Kar sakta main Tera tarpan||
'Saroj Smriti' Hindi Kavya ka sarvshreshth shokkit hai/
Dukh aur kashton ke mare Nirala atyadhik swabhimani vyakti the yah bahut spasht vadhit bhi the ISI Karan yah sadaiv sahitya vivad ka Kendra rahe Juhi ki Kali ki pratishtha ko lekar Inka vivad aur Sangharsh Jag jahir hai Nirala ji Swami Ramkrishna paramhans aur Vivekanand se bahut prabhavit hai inke kavitaen chhayawadi rashtriy vadi aur pragativadi vichardharaon per aadharit ha/15 August San 1961 isvi me Inka nidhan ho gaya/
Mahapuran Nirala ka Uday chhayawadi Kavi ke roop mein hua chhavad ke char stambhon mein Inka mahatvpurn sthan hai inhone Komal AVN Madhur bhav per aadharit chhayawadi Kavya kesarjan se apna Kavya jivan prarambh Kiya, parantu kal ke kurta ne inhen vidrohi Kavi ke roop mein pratishthit kar Diya/
Inke sahitya jivan ka prarambh "janma bhoomi ki Vandana" Namak Kavita ki Rachna se hua San 1929 isvi mein Inka "Saraswati" Patrika mein Pratham lekh prakashit hua/ "Juhi ki Kali" Kavita ki Rachna karke inhone Hindi Jagat mein apni pahchan banaa Li yah Apne samay ki sarvadhik charchit kavita rahe kyunki iske dwara Nirala ne Hindi sahitya mein mukut chhand ki sthapna ki/
Nirala bahumukhi-Pratibha Swaminarayan sahityakar the/Kavita ke atirikt inhone upnyas, kahaniyan, nibandh, aalochana aur sansmaranon ki Rachna bhi ki/ "primal" me sadi- gali manyataon ke prati Tribhuvan tatha nimn varg ke prati inki gehri sahanubhuti spasht dikhai deti hai/
"Gitika" ki mul-bhavana sarangarik hai/ismein prakriti- varnan tatha Desh- Prem ki Bhavna ka Chitran bhi milta hai/"Anamika" main sangrahit rachnaen Nirala ke kalatmak swabhav ki dotak hai/"Ram hi Shakti Puja"main Kavi ka aaj tatha purush prakat hua hai/
We are accepting Guest Posting on our website for all categories.
Kakul Digital Content Writer
@DigitalDiaryWefru